اردو हिंदी
Rah-e-shauq se ab haTa chahta hun | Shaahi Shayari
rah-e-shauq se ab haTa chahta hun

Ghazal

Rah-e-shauq se ab haTa chahta hun

Asrar-ul-Haq Majaz

;

rah-e-shauq se ab haTa chahta hun
kashish husn ki dekhna chahta hun

koi dil sa dard-ashna chahta hun
rah-e-ishq mein rahnuma chahta hun

tujhi se tujhe chhinna chahta hun
ye kya chahta hun ye kya chahta hun

KHataon pe jo mujh ko mail kare phir
saza aur aisi saza chahta hun

wo maKHmur nazren wo madhosh aankhen
KHarab-e-mohabbat hua chahta hun

wo aankhen jhukin wo koi muskuraya
payam-e-mohabbat suna chahta hun

tujhe DhunDhta hun teri justuju hai
maza hai ki KHud gum hua chahta hun

ye maujon ki be-tabiyan kaun dekhe
main sahil se ab lauTna chahta hun

kahan ka karam aur kaisi inayat
'majaz' ab jafa hi jafa chahta hun