اردو हिंदी
Raat ke baad nae din ki sahar aaegi | Shaahi Shayari
raat ke baad nae din ki sahar aaegi

Ghazal

Raat ke baad nae din ki sahar aaegi

Nida Fazli

;

raat ke baad nae din ki sahar aaegi
din nahin badlega tariKH badal jaegi

hanste hanste kabhi thak jao to chhup ke ro lo
ye hansi bhig ke kuchh aur chamak jaegi

jagmagati hui saDkon pe akele na phiro
sham aaegi kisi moD pe Das jaegi

aur kuchh der yunhi jang siyasat mazhab
aur thak jao abhi nind kahan aaegi

meri ghurbat ko sharafat ka abhi nam na de
waqt badla to teri rae badal jaegi

waqt nadiyon ko uchhaale ki uDae parbat
umr ka kaam guzarna hai guzar jaegi