اردو हिंदी
Raat gahri thi phir bhi sawera sa tha | Shaahi Shayari
raat gahri thi phir bhi sawera sa tha

Ghazal

Raat gahri thi phir bhi sawera sa tha

Zehra Nigaah

;

raat gahri thi phir bhi sawera sa tha
ek chehra ki aankhon mein Thahra sa tha

be-charagi se teri mere shahr-e-dil
wadi-e-sher mein kuchh ujala sa tha

mere chehre ka suraj use yaad hai
bhulta hai palak par sitara sa tha

baat kije to khulte the jauhar bahut
dekhne mein to wo shaKHs sada sa tha

sulh jis se rahi meri ta-zindagi
us ka sare zamane se jhagDa sa tha