اردو हिंदी
Raat aansu ko teri aankh mein dekha humne | Shaahi Shayari
raat aansu ko teri aankh mein dekha humne

Ghazal

Raat aansu ko teri aankh mein dekha humne

Zakauddin Shaya.n

;

raat aansu ko teri aankh mein dekha hum ne
rakh diya toD ke jaise koi tara hum ne

gum-shuda jism mile halqa-e-bazu jage
sham se oDh liya aaj sawera hum ne

gham mein KHush rahte hain har saya-e-qurbat se dur
ab badal Dala mizaj ahl-e-wafa ka hum ne

os mein mahki hui raat ke ponchhe aansu
subh ko de diya hansta hua chehra hum ne

KHatm KHush-fahmi-e-sairabi hui honTon tak
aankh se dekha hai pyasa koi dariya hum ne

chakh liya jazba-e-warafta ne ek rang-e-hayat
kar liya apne lab-e-sada ko jhuTa hum ne