qibla-e-dil kaba-e-jaan aur hai
sajda-gah-e-ahl-e-irfan aur hai
ho ke KHush kaTwate hain apne gale
aashiqon ki id-e-qurban aur hai
roz-o-shab yan ek si hai raushni
dil ke daghon ka charaghan aur hai
KHal dikhlati hai phulon ki bahaar
bulbulo apna gulistan aur hai
qaid mein aaram aazadi wabaal
hum giraftaron ka zindan aur hai
bahr-e-ulfat mein nahin kashti ka kaam
nuh se kah do ye tufan aur hai
kis ko andesha hai barq o sail se
apna KHirman ka nigahban aur hai
dard wo dil mein wo sine par hai dagh
jis ka marham jis ka darman aur hai
kaba-ru mehrab-e-abru ai 'amir'
apni taat apna iman aur hai
Ghazal
Qibla-e-dil kaba-e-jaan aur hai
Ameer Minai