qasam in aankhon ki jin se lahu Tapakta hai
mere jigar mein ek aatish-kada dahakta hai
guzishta kahish o andoh ke KHayal Thahar
mere dimagh mein shola sa ek bhaDakta hai
kisi ke aish-e-tamanna ki dastan na kaho
kaleja meri tamannaon ka dhaDakta hai
ilaj-e-'aKHtar'-e-na-kaam kyun nahin mumkin
agar wo ji nahin sakta to mar to sakta hai
Ghazal
Qasam in aankhon ki jin se lahu Tapakta hai
Akhtar Ansari