اردو हिंदी
Purane rang mein ashk-e-gham taza milata hun | Shaahi Shayari
purane rang mein ashk-e-gham taza milata hun

Ghazal

Purane rang mein ashk-e-gham taza milata hun

Zulfiqar Naqvi

;

purane rang mein ashk-e-gham taza milata hun
dar-o-diwar par kuchh aks-e-na-dida sajata hun

mujhe sahra-nawardi ras aati ja rahi hai ab
KHarabaat-e-chaman mein lala-o-sausan ugata hun

mere is shauq se dariya kinare sab shanasa hain
jahan tufan ho maujon ka wahan langar uThata hun

tumhaari naghma-sanji ki dukan par jo nahin milta
wahi ek naghma-e-pur-soz main sab ko sunata hun

na jaane kis nagar aabaad ho jati hain wo ja kar
main aksar sham ko chhat se patangen jo uData hun

paDe hain aable lekin qadam phir bhi hain barjasta
main kab se lash apni apne kandhon par uThata hun