phul allah ne banae hain mahakne ke liye
aur bulbul ko banaya hai chahakne ke liye
aatish-e-gham se banaya hai mere sine mein
dil ko angare ki manind dahakne ke liye
bache kam-baKHt wo dil kyunki bhala jis dil ke
mustaid ho nigah-e-shoKH uchakne ke liye
rind kahte hain ki KHaliq ne kiya hai paida
raat din naseh-e-behuda ko bakne ke liye
rahm ai chashm banaya hai kahin kya dil ko
qatra-e-ashk ho mizhgan se Tapakne ke liye
shaiKH ko rindon se kah do ki nazar mein rakkhen
kyunki ab DhunDe hai qabu wo khisakne ke liye
'aish' batla to bana hai dil-e-hairan tera
misl-e-aina ye kis shakl ke takne ke liye
Ghazal
Phul allah ne banae hain mahakne ke liye
Aish Dehlvi