phir kisi KHwab ke parde se pukara jaun
phir kisi yaad ki talwar se mara jaun
phir koi wusat-e-afaq pe saya Dale
phir kisi aankh ke nuqte mein utara jaun
din ke hangamon mein daman kahin maila ho jae
raat ki nuqrai aatish mein nikhaara jaun
KHushk khoe hue gumnam jazire ki tarah
dard ke kale samundar se ubhaara jaun
apni khoi hui jannat ka talabgar banun
dast-e-yazdan se gunahgar sanwara jaun
Ghazal
Phir kisi KHwab ke parde se pukara jaun
Adil Mansuri