phir aaina-e-alam shayad ki nikhar jae
phir apni nazar shayad ta-hadd-e-nazar jae
sahra pe lage pahre aur qufl paDe ban par
ab shahr-badar ho kar diwana kidhar jae
KHak-e-rah-e-jaanan par kuchh KHun tha girau apna
is fasl mein mumkin hai ye qarz utar jae
dekh aaen chalo hum bhi jis bazm mein sunte hain
jo KHanda-ba-lab aae wo KHak-basar jae
ya KHauf se dar-guzren ya jaan se guzar jaen
marna hai ki jina hai ek baat Thahar jae
Ghazal
Phir aaina-e-alam shayad ki nikhar jae
Faiz Ahmad Faiz