pahle to soch ke dozaKH mein jalata hai mujhe
phir wo shishe mein mera chehra dikhata hai mujhe
shayad apna hi taaqub hai mujhe sadiyon se
shayad apna hi tasawwur liye jata hai mujhe
bahar aawazon ka ek mela laga hai dekho
koi andar se magar toDta jata hai mujhe
yahi lamha hai ki main gir ke shikasta ho jaun
surat-e-shisha wo hathon mein uThata hai mujhe
jism minjumla-e-ashob-e-qayamat Thahra
dekhun kaun aa ke qayamat se bachata hai mujhe
zalzala aaya to diwaron mein dab jaunga
log bhi kahte hain ye ghar bhi Daraata hai mujhe
kitna zalim hai meri zat ka paikar 'aKHtar'
apni hi sans ki suli pe chaDhata hai mujhe
Ghazal
Pahle to soch ke dozaKH mein jalata hai mujhe
Akhtar Hoshiyarpuri