nang nahin mujh ko taDapne se sambhal jaane ka
Dar hai is KHanjar-e-mizhgan ke phisal jaane ka
nabz-e-zanjir ke hilne se chhuTe hai aashiq
bul-hawas kahwe hua shauq nikal jaane ka
garche wo rashk-e-chaman mujh se hai baghi lekin
aatish-e-gul se hai KHauf us ke kumahl jaane ka
talKH lagta hai use shahr ki basti ka swad
zauq hai jis ko bayaban ke nikal jaane ka
jun saba KHanqahon mein jo kabhu jata hun
qasd hai ghuncha amamon ke kuchal jaane ka
Ghazal
Nang nahin mujhko taDapne se sambhal jaane ka
Wali Uzlat