naghma aisa bhi mere sina-e-sad-chaak mein hai
KHauf se hashr bapa gumbad-e-aflak mein hai
ai junun chal KHam-e-gesu ki taraf dil to abhi
aalam-e-KHwab mein aadab ke pechaak mein hai
wo qafas ho ki nasheman ho panah-gah nahin
tairo naghmagaro barq-e-bala tak mein hai
tere KHush-posh faqiron se wo milte to sahi
jo ye kahte hain wafa pairhan-e-chaak mein hai
ye tasawwur hai abhi arsh abhi farsh pe tha
rang-o-nairang isi tausan-e-chaalak mein hai
kya bane surat-e-izhaar-e-maani ki KHayal
abhi uljha hua alfaz ke pechaak mein hai
dar-e-iKHlas ki dahliz par KHam hun 'abid'
ek jine ka saliqa dil-e-bebak mein hai
Ghazal
Naghma aisa bhi mere sina-e-sad-chaak mein hai
Syed Aabid Ali Aabid