اردو हिंदी
Nadi ne dhup se kya kah diya rawani mein | Shaahi Shayari
nadi ne dhup se kya kah diya rawani mein

Ghazal

Nadi ne dhup se kya kah diya rawani mein

Rahat Indori

;

nadi ne dhup se kya kah diya rawani mein
ujale panw paTakne lage hain pani mein

ye koi aur hi kirdar hai tumhaari tarah
tumhaara zikr nahin hai meri kahani mein

ab itni sari shabon ka hisab kaun rakhe
baDe sawab kamae gae jawani mein

chamakta rahta hai suraj-mukhi mein koi aur
mahak raha hai koi aur raat-rani mein

ye mauj mauj nai halchalen si kaisi hain
ye kis ne panw utare udas pani mein

main sochta hun koi aur karobar karun
kitab kaun KHaridega is girani mein