اردو हिंदी
Nalon ki kashakash sah na saka KHud tar-e-nafas bhi TuT gaya | Shaahi Shayari
nalon ki kashakash sah na saka KHud tar-e-nafas bhi TuT gaya

Ghazal

Nalon ki kashakash sah na saka KHud tar-e-nafas bhi TuT gaya

Shad Azimabadi

;

nalon ki kashakash sah na saka KHud tar-e-nafas bhi TuT gaya
ek umr se thi taklif jise kal shab ko wo qaidi chhuT gaya

thi teri tamanna kahish-e-jaan is dard se mein diwana tha
chhaala tha dil apne sine mein ai wa-asfa wo phuT gaya

sab apni hi apni dhun mein phanse tera to na nikla kaam koi
jo aaya tere darwaze par wo apna hi matha kuT gaya

tabut pe mere aae jo miTTi mein milaya yun kah kar
phaila diye dast-o-pa apne itne hi mein bas ji chhuT gaya

aaya tha yahi dil mein mere rindon hi pe kali bhi phenkun
saqi ka ishaara pate hi mein zahr-e-sitam ko ghuT gaya

ho hindu-e-KHal-e-lab tera ya tark-e-nigah ho ai qatil
dehli tha hamara dil shayad jo aaya wo us ko luT gaya

nazuk tha bahut kuchh dil mera ai 'shad' tahammul ho na saka
ek Thes lagi thi yun hi si kiya jald ye shisha TuT gaya