اردو हिंदी
Na tirgi ke liye hun na raushni ke liye | Shaahi Shayari
na tirgi ke liye hun na raushni ke liye

Ghazal

Na tirgi ke liye hun na raushni ke liye

Ain Salam

;

na tirgi ke liye hun na raushni ke liye
sitara-e-sahari hun main zindagi ke liye

ye kaun waqt ki surat mujhe badalta hai
ye kya kisi ke liye kuchh hun kuchh kisi ke liye

sarab-e-KHwab ki tabir ju-e-ab sahi
main sochta hun magar dasht-e-tishnagi ke liye

wo mutmain hun guman ko yaqin samajhta hun
yaqin ki KHud nahin kuchh kam jo gumrahi ke liye

kahin wo meri tarah mera aashna hi na ho
hazar KHwab bunun main jis ajnabi ke liye

wo aasman ho ki sahra wajud ho ki adam
faza bani hai ye kis sharh-e-KHamushi ke liye