na sath aa mere main girte faslon mein hun
ghubar-e-dasht hun aur tez aandhiyon mein hun
na jaane qasd kahan ka hai kyun nikale qadam
zamana bit gaya kaisi hijraton mein hun
KHud apne sham o sahar mein ulajh gaya aisa
main aasman hun magar apni gardishon mein hun
bahut kushada falak hai baDi basit zamin
magar ye sab main sameTe hue paron mein hun
uThae phirte hain sar mera ek neze par
buland hun main yahan bhi jo dushmanon mein hun
koi bhi hadsa-e-jaan ho us ka manzar mein
uTha ke dekh lo aKHbar surKHiyon mein hun
koi sada koi halchal nahin hai bahar ki
main apni gunj mein hun apni aahaTon mein hun
koi bhi aks nahin jis mein mera chehra ho
main aaina hun magar kitni hairaton mein hun
nasha hai nind ka aankhon mein TuTta hai badan
ki jaise main bhi lagatar ratjagon mein hun
ki jaise mujh ko Duboya gaya hai pani mein
ki jaise main koi shatir shanawaron mein hun
ki jaise mujh ko chaDhaya gaya hai suli par
ki jaise main bhi baDe unche sar-phiron mein hun
ki jaise mujh pe hai chhaya shikar ka aaseb
ki jaise main bhi KHatarnak jangalon mein hun
ki jaise log mujhe dekhne ko aae hain
ki jaise main luTe-haare musafiron mein hun
rahun main KHud ko sameTe hue sambhaale hue
ye 'ramz' meri saza hai ki doston mein hun
Ghazal
Na sath aa mere main girte faslon mein hun
Mohammad Ahmad Ramz