اردو हिंदी
Na jaane kyun mujhe us se hi KHauf lagta hai | Shaahi Shayari
na jaane kyun mujhe us se hi KHauf lagta hai

Ghazal

Na jaane kyun mujhe us se hi KHauf lagta hai

Waseem Barelvi

;

na jaane kyun mujhe us se hi KHauf lagta hai
mere liye jo zamane ko chhoD aaya hai

andheri shab ke hawalon mein us ko rakkha hai
jo sare shahr ki ninden uDa ke soya hai

rafaqaton ke safar mein to be-yaqini thi
ye fasla hai jo rishta banae rakhta hai

wo KHwab the jinhen hum mil ke dekh sakte the
ye bar-e-zist hai tanha uThana paDta hai

hamein kitabon mein kya DhunDne chale ho 'wasim'
jo hum ko paDh nahin pae unhin ne likkha hai