اردو हिंदी
Na ham-ahang-e-masiha na harif-e-jibril | Shaahi Shayari
na ham-ahang-e-masiha na harif-e-jibril

Ghazal

Na ham-ahang-e-masiha na harif-e-jibril

Asrar-ul-Haq Majaz

;

na ham-ahang-e-masiha na harif-e-jibril
tera shair ki hai zindani-e-gesu-e-jamil

kis ki aankhon mein ye ghaltan hai jawani ki sharab
khol di aah ye kis ne mai-e-gul-gun ki sabil

kis taraf jae kahan jae bata do koi
zulf-e-pur-KHam ka giraftar nigahon ka qatil

aalam-e-yas mein kya chiz hai ek saghar-e-mai
dasht-e-zulmat mein jis tarah KHizr ki qindil

kitni dushwar hai piran-e-haram ki manzil
is taraf fitna-e-iblis udhar rabb-e-jalil

uf ye tufan-e-nashat aur meri tab-e-hazin
aah ye yurish-e-naz aur main majruh o alil

aah wo hosh ka aalam wo ghamon ka tufan
uf ye masti ki hai phir hosh mein aane ki dalil