na do dushnam hum ko itni bad-KHui se kya hasil
tumhein dena hi hoga bosa KHam-rui se kya hasil
dil-azari ne teri kar diya bilkul mujhe be-dil
na kar ab meri dil-jui ki dil-jui se kya hasil
na jab tak chaak ho dil phans kab dil ki nikalti hai
jahan ho kaam KHanjar ka wahan sui se kya hasil
burai ya bhalai go hai apne waste lekin
kisi ko kyun kahen hum bad ki bad-goi se kya hasil
na kar fikr-e-KHizab ai shaiKH tu piri mein jaane de
jawan hona nahin mumkin siyah-rui se kya hasil
chaDhae aastin KHanjar-ba-kaf wo yun jo phirta hai
use kya jaane hai us arbada-jui se kya hasil
abas pamba na rakh dagh-e-dil-e-sozan pe tu mere
ki angare pe hoga chaaragar rui se kya hasil
shamim-e-zulf ho us ki to ho farhat mere dil ko
saba howega mushk-e-chin ki KHushbui se kya hasil
na howe jab talak insan ko dil se mel-e-yak-jaanib
'zafar' logon ke dikhlane ko yaksui se kya hasil
Ghazal
Na do dushnam hum ko itni bad-KHui se kya hasil
Bahadur Shah Zafar