na bhul kar bhi tamanna-e-rang-o-bu karte
chaman ke phul agar teri aarzu karte
janab-e-shaiKH pahunch jate hauz-e-kausar tak
agar sharab se mai-KHane mein wazu karte
masarrat aah tu basti hai kin sitaron mein
zamin pe umr hui teri justuju karte
ayagh-e-baada mein aa kar wo KHud chhalak paDta
gar us ke mast zara aur hao hu karte
unhen mafar na tha iqrar-e-ishq se lekin
haya ko zid thi ki wo pas-e-abru karte
pukar uThta wo aa kar dilon ki dhaDkan mein
hum apne sine mein gar us ki justuju karte
gham-e-zamana ne majbur kar diya warna
ye aarzu thi ki bas teri aarzu karte
giran tha saqi-e-dauran pe ek saghar bhi
to kis umid pe hum KHwahish-e-subu karte
junun-e-ishq ki tasir to ye thi 'aKHtar'
ki hum nahin wo KHud izhaar-e-arzu karte
Ghazal
Na bhul kar bhi tamanna-e-rang-o-bu karte
Akhtar Shirani