mustaqil mahrumiyon par bhi to dil mana nahin
lakh samjhaya ki is mahfil mein ab jaana nahin
KHud-farebi hi sahi kya kijiye dil ka ilaj
tu nazar phere to hum samjhen ki pahchana nahin
ek duniya muntazir hai aur teri bazm mein
is tarah baiThe hain hum jaise kahin jaana nahin
ji mein jo aati hai kar guzro kahin aisa na ho
kal pasheman hon ki kyun dil ka kaha mana nahin
zindagi par is se baDh kar tanz kya hoga 'faraaz'
us ka ye kahna ki tu shaer hai diwana nahin
Ghazal
Mustaqil mahrumiyon par bhi to dil mana nahin
Ahmad Faraz