mujhe kya dekh kar tu tak raha hai
tere hathon kaleja pak raha hai
jahan kyunkar na ho nazron mein tarik
tera munh zulf niche Dhak raha hai
tumhaari na-qadar-dani ka afsos
hamare ji mein marte tak raha hai
KHuda ke waste us se na bolo
nashe ki lahr mein kuchh bak raha hai
phira ab tak nahin 'hatim' ka qasid
KHudaya rah mein kya thak raha hai
Ghazal
Mujhe kya dekh kar tu tak raha hai
Shaikh Zahuruddin Hatim