اردو हिंदी
Meri sham-e-gham ko wo bahla rahe hain | Shaahi Shayari
meri sham-e-gham ko wo bahla rahe hain

Ghazal

Meri sham-e-gham ko wo bahla rahe hain

Akhtar Shirani

;

meri sham-e-gham ko wo bahla rahe hain
likha hai ye KHat mein ki hum aa rahe hain

Thahar ja zara aur ai dard-e-furqat
hamare tasawwur mein wo aa rahe hain

gham-e-aqibat hai na fikr-e-zamana
piye ja rahe hain jiye ja rahe hain

nahin shikwa-e-tishnagi mai-kashon ko
wo aankhon se mai-KHane barsa rahe hain

wo rashk-e-bahaar aane wala hai 'aKHtar'
kanwal hasraton ke khile ja rahe hain