اردو हिंदी
Meri nigah ka paigham be-sada jo hua | Shaahi Shayari
meri nigah ka paigham be-sada jo hua

Ghazal

Meri nigah ka paigham be-sada jo hua

Akhtar Hoshiyarpuri

;

meri nigah ka paigham be-sada jo hua
wo meri baat sune kyun main be-nawa jo hua

sawad-e-shahr mein milte hain log sang-ba-dast
sawad-e-shahr se sahra ko rasta jo hua

mila na tu to gham-e-zindagi ke diwane
idhar hi lauT paDe main tera pata jo hua

tamam raat main sunta raha teri aawaz
tera KHayal hi mujh ko teri sada jo hua

hawa-e-gul bhi pareshan qaba-e-gul bhi chaak
junun ka fasl-e-bahaaran se rabta jo hua