mere liye teri nazron ki raushni hai bahut
ki dekh lun tujhe pal bhar mujhe yahi hai bahut
ye aur baat ki chahat ke zaKHm gahre hain
tujhe bhulane ki koshish to warna ki hai bahut
kuchh is KHata ki saza bhi to kam nahin milti
gharib-e-shahr ko ek jurm-e-agahi hai bahut
kahan se laun wo chehra wo guftugu wo ada
hazar husn hai galiyon mein, aadmi hai bahut
kabhi to mohlat-e-nazzara nikhat-e-guzaran
labon pe aag sulagti hai tishnagi hai bahut
kisi ne hans ke jo dekha to ho gae us ke
ki is zamane mein itni si baat bhi hai bahut
Ghazal
Mere liye teri nazron ki raushni hai bahut
Mahmood Shaam