mere dil mein hai ki puchhun kabhi murshid-e-mughan se
ki mila jamal-e-saqi ko ye tantana kahan se
wo ye kah rahe hain hum ko tere haal ki KHabar kya
tu uTha saka nigahen na bata saka zaban se
jo unhen wafa ki sujhi to na zist ne wafa ki
abhi aa ke wo na baiThe ki hum uTh gae jahan se
main adam ke lala-zaron mein nawa-gar-e-azal tha
mujhe khinch lai zalim teri aarzu kahan se
meri sarnawisht mein tha wahi dagh-e-na-muradi
jo mila meri jabin ko tere sang-e-astan se
bache bijliyon ki zad se wahi taeran-e-dana
jo kaDak chamak se pahle nikal aae aashiyan se
ye hai majra-e-wahshat ki mila suragh-e-mahmil
na ghubar-e-karwan se na dara-e-karwan se
nahin kuchh samajh mein aata ye ajib majra hai
ki zamin ke rahne walon ko hidayat aasman se
shab-e-gham jo aai 'salik' miTe baatni andhere
mera dil hua munawwar tab-o-tab-e-jawedan se
Ghazal
Mere dil mein hai ki puchhun kabhi murshid-e-mughan se
Abdul Majeed Salik