mera iKHlas bhi ek wajh-e-dil-azari hai
banda-parwar mujhe ehsas-e-gunahgari hai
aap aziyyat ka banate hain jo KHugar mujh ko
is se behtar bhala kya surat-e-gham-KHwari hai
mahz taskin-barari ke bahane hain sab
main to kahta hun mohabbat bhi riya-kari hai
mashq karta hai nasihat ki jin ayyam mein tu
waiz-e-shahr wahi mausam-e-mai-KHwari hai
kaise aaega na sar-dard ko aaram 'adam'
mere ahbab ko taqrir ki bimari hai
Ghazal
Mera iKHlas bhi ek wajh-e-dil-azari hai
Abdul Hamid Adam