اردو हिंदी
Aah ke tin dil hairan-o-KHafa ko saunpa | Shaahi Shayari
aah ke tin dil hairan-o-KHafa ko saunpa

Ghazal

Aah ke tin dil hairan-o-KHafa ko saunpa

Mir Taqi Mir

;

aah ke tin dil hairan-o-KHafa ko saunpa
main ne ye ghuncha-e-taswir saba ko saunpa

tere kuche mein meri KHak bhi pamal hui
tha wo be-dard mujhe jin ne wafa ko saunpa

ab to jata hi hai kabe ko to but-KHane se
jald phir pahunchiyo ai 'mir' KHuda ko saunpa