sina hai chaak-e-jigar para hai dil sab KHun hai
tis pe ye jaan-ba-lab aamada bhi mahzun hai
us se aankhon ko mila ji mein rahe kyunkar tab
chashm-e-eajaz-e-mizha sahar-e-nigah-e-afsun hai
aah ye rasm-e-wafa howe bar-uftad kahin
is sitam par bhi mera dil usi ka mamnun hai
kabhu is dasht se uThta hai jo ek abr tanik
gard-e-namnak pareshan shuda-e-majnun hai
kyunke be-baada lab-e-ju pe chaman mein rahiye
aks-e-gul aab mein taklif-e-mai-e-gul-gun hai
par bhi ho na kaleje ke to phir kya bulbul
misra-nala jigar-kawi hai go mauzun hai
shahr kitna jo koi un mein sarishk-e-afshan ho
ru-kash-e-girya-e-gham hausla-e-hamun hai
KHun har yak raqam shauq se Tapke tha wale
wo na samjha ki mere name ka kya mazmun hai
'mir' ki baat pe har waqt ye jhunjhlaya na kar
saDi hai KHabti hai wo shefta hai majnun hai
Ghazal
Sina hai chaak-e-jigar para hai dil sab KHun hai
Mir Taqi Mir