yan sarkashan jo sahab-e-taj o lawa hue 
pamal ho gae to na jaana ki kya hue 
dekhi na ek chashmak-e-gul bhi chaman mein aah 
hum aaKHir bahaar-e-qafas se raha hue 
pachhtaoge bahut jo gae hum jahan se 
aadam ki qadar hoti hai zahir juda hue 
tujh bin dimagh sohbat-e-ahl-e-chaman na tha 
gul wa hue hazar wale hum na wa hue 
sar de ke 'mir' hum ne faraghat ki ishq mein 
zimme hamare bojh tha bare ada hue
        Ghazal
Yan sarkashan jo sahab-e-taj o lawa hue
Mir Taqi Mir

