اردو हिंदी
Ab ke bhi sair bagh ki ji mein hawas rahi | Shaahi Shayari
ab ke bhi sair bagh ki ji mein hawas rahi

Ghazal

Ab ke bhi sair bagh ki ji mein hawas rahi

Mir Taqi Mir

;

ab ke bhi sair bagh ki ji mein hawas rahi
apni jagah bahaar mein kunj-e-qafas rahi

main pa-shikasta ja na saka qafile talak
aati agarche der sada-e-jaras rahi

lutf qaba-e-tang pe gul ka baja hai naz
dekhi nahin hai un ne teri choli chus rahi

din-raat meri aankhon se aansu chale gae
barsat ab ke shahr mein sare baras rahi

KHali shaguftagi se jarahat nahin koi
har zaKHm yan hai jaise kali ho box rahi

diwangi kahan ki gareban se tang hun
gardan meri hai tauq mein goya ki phans rahi

jon subh is chaman mein na hum khul ke hans sake
fursat rahi jo 'mir' bhi so yak-nafas rahi