اردو हिंदी
Milne ka nahin rizq-e-muqaddar se siwa aur | Shaahi Shayari
milne ka nahin rizq-e-muqaddar se siwa aur

Ghazal

Milne ka nahin rizq-e-muqaddar se siwa aur

Zaheer Dehlvi

;

milne ka nahin rizq-e-muqaddar se siwa aur
kya ghar mein KHuda aur hai ghurbat mein KHuda aur

tum samne aate ho to chhupte ho siwa aur
parde ki haya aur hai aankhon ki haya aur

kuchh aag lagaega nai shola-e-ruKHsar
kuchh rang dikhaega tera rang-e-hina aur

insan wo kya jis ko na ho pas zaban ka
ye koi tariqa hai kaha aur kiya aur

aa pahunche hain manzil ki nawahi mein 'zahir' ab
han pa-e-talab haariyo himmat na zara aur