mila jo koi yahan ramz-ashna na mujhe
wabaal-e-hosh raha harf-e-mahramana mujhe
udas phirti hai shadab wadiyon ki mahak
hai kaenat yahi kunj-e-ashiyana mujhe
adu ki sang-zani ki nahin mujhe parwa
tere karam ka mayassar hai shamiyana mujhe
koi ilaj-e-gham-e-zindagi bata waiz
sune hue jo fasane hain phir suna na mujhe
subuk-sari mein zamin-e-watan bhi tang hui
kashan kashan liye phirta hai aab-o-dana mujhe
mere nasib mein hai kisht-e-jaan ki virani
na aai ras rah-o-rasm-e-ashiqana mujhe
bhaTak raha hun usi ki talash mein 'aKHtar'
ki jis dayar ko chhoDe hua zamana mujhe
Ghazal
Mila jo koi yahan ramz-ashna na mujhe
Akhtar Ziai