masjidon ke sahn tak jaana bahut dushwar tha
dair se nikla to mere raste mein dar tha
dekhte hi dekhte shahron ki raunaq ban gaya
kal yahi chehra hamare aainon par bar tha
apni qismat mein likhi thi dhup ki naraazgi
saya-e-diwar tha lekin pas-e-diwar tha
sab ke dukh sukh us ke chehre par likhe pae gae
aadmi kya tha hamare shahr ka aKHbar tha
ab mohalle bhar ke darwazon pe dastak hai nasib
ek zamana tha ki jab main bhi bahut KHuddar tha
Ghazal
Masjidon ke sahn tak jaana bahut dushwar tha
Rahat Indori