masala ye hai ki us ke dil mein ghar kaise karen
darmiyan ke fasle ka tai safar kaise karen
koi sunta hi nahin arz-e-hunar kaise karen
KHud ko hum apni nazar mein mo'tabar kaise karen
aaKHiri patthar se be-samt-o-nishan jaana hai ab
hum khuli aankhon se ye andha safar kaise karen
jaan ke jaane ka andesha bahut hai ab ki bar
marka bhi aaKHiri karna hai sar kaise karen
kuchh dinon ki baat ho to kaT den aankhon mein raat
nind agar aae na 'farruKH' umr bhar kaise karen
Ghazal
Masala ye hai ki uske dil mein ghar kaise karen
Farrukh Jafari