marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare
ye duniya ho ya wo duniya ab KHwahish-e-duniya kaun kare
jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare
jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne
jo ashkon ne bhaDkai hai us aag ko ThanDa kaun kare
duniya ne hamein chhoDa 'jazbi' hum chhoD na den kyun duniya ko
duniya ko samajh kar baiThe hain ab duniya duniya kaun kare
Ghazal
Marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare
Moin Ahsan Jazbi