اردو हिंदी
Maqbul-e-awam ho gaya main | Shaahi Shayari
maqbul-e-awam ho gaya main

Ghazal

Maqbul-e-awam ho gaya main

Zafar Iqbal

;

maqbul-e-awam ho gaya main
goya ki tamam ho gaya main

ehsas ki aag se guzar kar
kuchh aur bhi KHam ho gaya main

diwar-e-hawa pe likh gaya wo
yun naqsh-e-dawam ho gaya main

patthar ke panw dho raha tha
pani ka payam ho gaya main

uDta hua aks dekhte hi
phaila hua dam ho gaya main