اردو हिंदी
Manzilon ke fasle diwar-o-dar mein rah gae | Shaahi Shayari
manzilon ke fasle diwar-o-dar mein rah gae

Ghazal

Manzilon ke fasle diwar-o-dar mein rah gae

Akhtar Hoshiyarpuri

;

manzilon ke fasle diwar-o-dar mein rah gae
kya safar tha mere sare KHwab ghar mein rah gae

ab koi taswir bhi apni jagah qaem nahin
ab hawa ke rang hi meri nazar mein rah gae

jitne manzar the mere ham-rah ghar tak aae hain
aur pas-e-manzar sawad-e-rah-guzar mein rah gae

apne qadmon ke nishan bhi band kamron mein rahe
taqchon par bhi diye KHali nagar mein rah gae

kar gai hai nam se ghafil hamein apni shanaKHt
sirf aawazon ke sae hi KHabar mein rah gae

na-KHudaon ne palaT kar jaane kyun dekha nahin
kashtiyon ke to kai taKHte bhanwar mein rah gae

kaisi kaisi aahaTen alfaz ka paikar banin
kaise kaise aks meri chashm-e-tar mein rah gae

hath ki sari lakiren panw ke talwon mein thin
aur mere ham-safar gard-e-safar mein rah gae

kya hujum-e-rang 'aKHtar' kya farogh-e-bu-e-gul
mausamon ke zaiqe buDhe shajar mein rah gae