man bai-ragi tan anuragi qadam qadam dushwari hai
jiwan jina sahl na jaano bahut baDi fankari hai
auron jaise ho kar bhi hum ba-izzat hain basti mein
kuchh logon ka sidha-pan hai kuchh apni ayyari hai
jab jab mausam jhuma hum ne kapDe phaDe shor kiya
har mausam shaista rahna kori duniya-dari hai
aib nahin hai is mein koi lal-pari na phul-kali
ye mat puchho wo achchha hai ya achchhi nadari hai
jo chehra dekha wo toDa nagar nagar viran kiye
pahle auron se na-KHush the ab KHud se be-zari hai
Ghazal
Man bai-ragi tan anuragi qadam qadam dushwari hai
Nida Fazli