main wo hun jis pe abr ka saya paDa nahin
banjar paDa hua hun koi dekhta nahin
main to KHuda ke sath wafadar bhi raha
ye zat ka tilism magar TuTta nahin
yun TuTta zarur bikharta zarur hun
main chaak-e-pairahan nahin KHunin qaba nahin
main ne ulajh ke dekh liya apni gunj se
ab kya sada lagaun koi jagta nahin
had-bandi-e-KHizan se hisar-e-bahaar tak
jaan raqs kar sake to koi fasla nahin
Ghazal
Main wo hun jis pe abr ka saya paDa nahin
Saqi Faruqi