main us ka nam ghule paniyon pe likhta kya
wo ek mauj-e-rawan hai kahin pe rukta kya
tamam harf mere lab pe aa ke jam se gae
na jaane main kaha kya aur us ne samjha kya
sabhon ko apni gharaz thi sabhon ko apni baqa
mere liye mere nazdik koi aata kya
ubharta chand mera ham-safar tha dariya mein
main Dubte hue suraj ko muD ke takta kya
parinde ghar ki munDeron pe aa ke baiTh gae
main ajnabi tha ishaara koi samajhta kya
firaq o wasl to taswiren un ke nam ki hain
main in mein rang kisi ke lahu se bharta kya
main apne ghar mein nahin tha magar kahin bhi na tha
udhar se mujh ko guzarte kisi ne dekha kya
tamam shahr rawan hai mere taaqub mein
main aap kya mere ghar ki taraf ko rasta kya
ye raushni kabhi pahle na thi yahan 'aKHtar'
sitara raat ki palkon pe koi chamka kya
Ghazal
Main us ka nam ghule paniyon pe likhta kya
Akhtar Hoshiyarpuri