main munharif tha jis se harf-e-inhiraf ki tarah
khula wo dhire dhire bu-e-inkishaf ki tarah
ye be-samar zamin ye raegan falak ke silsile
hain mere gird kyun hisar-e-etakaf ki tarah
wo sardiyon ki dhup ki tarah ghurub ho gaya
lipaT rahi hai yaad jism se lihaf ki tarah
ye lag raha hai sab duaen mustajab ho gain
jagah jagah hai gahra aasman shigaf ki tarah
saf-e-munafiqan mein phir wo ja mila to kya ajab
hui thi sulh bhi KHamosh iKHtilaf ki tarah
Ghazal
Main munharif tha jis se harf-e-inhiraf ki tarah
Musavvir Sabzwari