main harf dekhun ki raushni ka nisab dekhun
magar ye aalam ki Tahniyon par gulab dekhun
purane KHwabon se reza reza badan hua hai
ye chahta hun ki ab naya koi KHwab dekhun
ye raste to meri hatheli ke tarjuman hain
main in lakiron mein zindagi ki kitab dekhun
murajat ka safar to mumkin nahin raha hai
main chalta jaun ki mausamon ka azab dekhun
main apni taswir dekh kar mutmain kahan hun
wo din bhi aae lahu ko jab kaamyab dekhun
Ghazal
Main harf dekhun ki raushni ka nisab dekhun
Akhtar Hoshiyarpuri