main apne KHwab se bichhDa nazar nahin aata
to is sadi mein akela nazar nahin aata
ajab dabao hai un bahari hawaon ka
gharon ka bojh bhi uThta nazar nahin aata
main teri rah se haTne ko haT gaya lekin
mujhe to koi bhi rasta nazar nahin aata
main ek sada pe hamesha ko ghar to chhoD aaya
magar pukarne wala nazar nahin aata
dhuan bhara hai yahan to sabhi ki aankhon mein
kisi ko ghar mera jalta nazar nahin aata
ghazal-sarai ka dawa to sab kare hain 'wasim'
magar wo 'mir' sa lahja nazar nahin aata
Ghazal
Main apne KHwab se bichhDa nazar nahin aata
Waseem Barelvi