mahsus lams jis ka sar-e-rah-guzar kiya
saya tha wo usi ka jise ham-safar kiya
kuchh be-Thikana karti rahin hijraten mudam
kuchh meri wahshaton ne mujhe dar-ba-dar kiya
rahna nahin tha sath kisi ke magar rahe
karna nahin tha yaad kisi ko magar kiya
tu aaina bhi aap tha aur aks bhi tha aap
tere jamal hi ne tujhe KHush-nazar kiya
wo jis Dagar milega wahin mar miTunga main
tum dekhna safar ka irada agar kiya
jab zindagi guzar di aaya hai tab KHayal
kyun us ka intizar 'zafar' umr bhar kiya
Ghazal
Mahsus lams jis ka sar-e-rah-guzar kiya
Sabir Zafar