mahsus karoge to guzar jaoge jaan se
wo haal hai andar se ki bahar hai bayan se
wahshat ka ye aalam ki pas-e-chaak gareban
ranjish hai bahaaron se ulajhte hain KHizan se
ek umr hui us ke dar-o-baam ko takte
aawaz koi aai yahan se na wahan se
uThte hain to dil baiThne lagta hai sar-e-bazm
baiThe hain to ab mar ke hi uThenge yahan se
har moD pe wa hain meri aankhon ke dariche
ab dekhna ye hai ki wo jata hai kahan se
kya nawak-e-mizhgan se rakhen zaKHm ki ummid
chalte hain yahan tir kisi aur kaman se
aankhon se ayan hota hai aalam mere dil ka
matlab hai is aalam ko zaban se na bayan se
Ghazal
Mahsus karoge to guzar jaoge jaan se
Javed Saba