اردو हिंदी
Larzish-e-parda-e-izhaar ka matlab kya hai | Shaahi Shayari
larzish-e-parda-e-izhaar ka matlab kya hai

Ghazal

Larzish-e-parda-e-izhaar ka matlab kya hai

Zafar Iqbal

;

larzish-e-parda-e-izhaar ka matlab kya hai
hai ye diwar to diwar ka matlab kya hai

jis ka inkar hatheli pe liye phirta hun
jaanta hi nahin inkar ka matlab kya hai

ek bar us ne agar de hi diya saf jawab
phir usi baat pe israr ka matlab kya hai

bechna kuchh nahin is ne to KHaridar hain kyun
aaKHir is garmi-e-bazar ka matlab kya hai

us ki rahon mein bikhar jae ye KHakistar-e-chashm
aur apne liye didar ka matlab kya hai

rabt baqi nahin alfaz o maani mein 'zafar'
kya kahen us se ki is pyar ka matlab kya hai