اردو हिंदी
Kya baat hai ai jaan-e-suKHan baat kiye ja | Shaahi Shayari
kya baat hai ai jaan-e-suKHan baat kiye ja

Ghazal

Kya baat hai ai jaan-e-suKHan baat kiye ja

Abdul Hamid Adam

;

kya baat hai ai jaan-e-suKHan baat kiye ja
mahaul pe naghmat ki barsat kiye ja

duniya ki nigahon mein baDi hirs bhari hai
na-ahl zamane se hijabaat kiye ja

neki ka irada hai to phir puchhna kaisa
din raat faqiron ki mudaraat kiye ja

chalte rahen madhosh piyalon ki rawish par
nadan sitaron ko hidayat kiye ja

allah tera husn kare aur ziyaada
hum rah-nashinon se mulaqat kiye ja

ban aae jawabaat to mil jaenge KHud hi
ai dawar-e-mahshar tu sawalat kiye ja

hasti o adam kya hain ba-juz jumbish-e-abru
ai jaan-e-kinayat ishaaraat kiye ja

kahta hai 'adam' mujh ko har ek gosha-e-hasti
aaya hai to kuchh sair-e-KHarabaat kiye ja