kuchh shafaq Dubte suraj ki bacha li jae
rang-e-imkan se koi shakl bana li jae
harf mohmal sa koi hath pe us ke rakh do
qahat kaisa hai ki har sans sawali jae
shahr-e-malbus mein kyun itna barhana rahiye
koi chhat ya koi diwar-e-KHayali jae
sath ho leta hai har sham wahi sannaTa
ghar ko jaane ki nai rah nikali jae
phenk aankhon ko kisi jhil ki gahrai mein
but koi soch ki aawara KHayali jae
tishna-e-zaKHm na rahne de badan ko 'ahmad'
aisi talwar sar-e-shahr uchhaali jae
Ghazal
Kuchh shafaq Dubte suraj ki bacha li jae
Ahmad Shanas